Posts

Showing posts from January, 2024

Ayodhya ka Ram apne ghar aaya hai..

Image
I am feeling blessed to witness this occassion of lord Ram home coming...this poem states the same.. please read and share your views. Khushi se yun to man bhar aaya hai,  khushkismat hun jo ye sab Nazar aaya hai, dubara diwali manane ye shehar aaya hai, Ayodhya ka Ram phir apne ghar aaya hai.. Varshon tak sunayi jaegi ye kahani, Jab hum bhi ho jaenge daadi aur naani, Diwali manaya jana hai pauranik katha, Aaj Ram ka Ghar aana humne khud hai dekha.. Aastha aur vishwas me nahi hai koi kasar, Bas bani rahe Ram aapki kripa saari Umar, dubara diwali manane ye shehar aaya hai, Ayodhya ka Ram phir apne ghar aaya hai..