Posts

Showing posts from November, 2020

Judaw to hai par lagaw nahi raha

Image
 This pendemic has brought me to my unrealised roots which I feel difficult to adapt with since I am not used to it since a long long time... chalte chalte itna aage aa gaye ki apna aadi hi bhul rahe Jis mitti me janme usse judaw to hai par lagaw nahi raha...  Kabhi sharmindagi Hoti hai khud par ki na Jane hum aise kab ho Gaye, Jis jagah me pale badhe the aaj wahan rehne Ko hi kasht keh Gaye, Jis gali muhalle me apni bhasha Apne log milte hain, Jane Kyun hum is jagah ko apna nahi kehte hain   chalte chalte itna aage aa gaye ki apna aadi hi bhul rahe Jis mitti me janme usse judaw to hai par lagaw nahi raha...  Kabhi Khushi hoti hai aaj is baat ki k kal Ko chhod k aage badh aaye hain, Dhul mitti Khun pasine wali mehnat k din Kam se Kam Gaye hain, Wahan sab milte hain par apni bhasha Apne log nahin milte, Log bhasha apnapan aur sukun, jane kab in sab par hoga sath me gurur,  chalte chalte itna aage aa gaye ki apna aadi hi bhul rahe Jis mitti me janme usse judaw to hai par lagaw nahi raha.