Posts

Showing posts from January, 2023

Aastha ya Andhvishwas

Image
 While wrapping up through the year 2022 I along with my family thought of thanking God for keeping things well, we went to different places to worship🙏 the poem came out of the experiences..just wanted to share it, if you too felt the same at some point of time please comment and let me know 😊 Aastha ya andhvishwas Samajhna hai mushkil, jane kaisi h aas,  Jane kis hod me lage hain, hai ye aastha ya andhvishwas Sabko pahochna h ek din usi upar wale k pas,  Amiri garibi unch neech ka farak hai bakwas,  Phir bhi jane kyun lagi hai itni bhagambhag,  Pujariyon ki ikshayen poori karte karte chahe jeb me lag jaye aag,  Swarg ki sidhiyan chadhna hai zaruri,  Daan chadhawa dakshina me rahe na kasar adhuri Samajhna hai mushkil, jane kaisi h aas,  Jane kis hod me lage hain, hai ye aastha ya andhvishwas Isi aastha se jane kitne choolhe jalte hain,  Humare hi jitni shraddha kya wo bhi rakhte hain?? Loot k vyapar me sabka bol bala hai,  Aaj bhi unhi logon ne jane kitnon ko loot daala h Galti huma