Judaw to hai par lagaw nahi raha

 This pendemic has brought me to my unrealised roots which I feel difficult to adapt with since I am not used to it since a long long time...



chalte chalte itna aage aa gaye ki apna aadi hi bhul rahe

Jis mitti me janme usse judaw to hai par lagaw nahi raha... 

Kabhi sharmindagi Hoti hai khud par ki na Jane hum aise kab ho Gaye,

Jis jagah me pale badhe the aaj wahan rehne Ko hi kasht keh Gaye,

Jis gali muhalle me apni bhasha Apne log milte hain,

Jane Kyun hum is jagah ko apna nahi kehte hain

 

chalte chalte itna aage aa gaye ki apna aadi hi bhul rahe

Jis mitti me janme usse judaw to hai par lagaw nahi raha... 


Kabhi Khushi hoti hai aaj is baat ki k kal Ko chhod k aage badh aaye hain,

Dhul mitti Khun pasine wali mehnat k din Kam se Kam Gaye hain,

Wahan sab milte hain par apni bhasha Apne log nahin milte,

Log bhasha apnapan aur sukun, jane kab in sab par hoga sath me gurur,


 chalte chalte itna aage aa gaye ki apna aadi hi bhul rahe

Jis mitti me janme usse judaw to hai par lagaw nahi raha... 


Ek lambe arse se apni Neev se door hain,

Hamen sirf itna yaad h k kahin humari Jaden to zarur hain,

Chand tasveeron aur bachpan ki yadon se zada,

Jane kya hai humara humari mitti se wada,

Judaw mitti se uski khushboo se hamesha se tha,

Jab tak zinndagi ki sachaiyon se humara tarruf hua


 chalte chalte itna aage aa gaye ki apna aadi hi bhul gaye ki apna aadi hi bhul rahe

Jis mitti me janme usse judaw to hai par lagaw nahi raha... 

Comments

Popular posts from this blog

Hissedaari...

Ayodhya ka Ram apne ghar aaya hai..

The Good man Died