Gullak

For a few people it might be a small toy but I have a few memories some sweet some harsh but to be cherished always....

                                    Gullak...



badi maasum si duniyan thi gullak ki,
Itne samajhdar ho Gaye ki ab lagta hai sab nautanki

Bachpan ki hai Sabse badi tijori
Ek Sikka bhi kahin kar na le koi chori,
Sabse paise maang k hai in sikkon Ko Joda,
Jane kab kaam kar jaye ye bada,

badi maasum si duniyan thi gullak ki,
Itne samajhdar ho Gaye ki ab lagta hai sab nautanki

Kabhi ball ya doll ki karni ho farmaish,
Ya school k liye Lena ho extra paint brush
Gullak k paison ki de de k duhai
Jane kitni hi chizen ghar le k aayi

badi maasum si duniyan thi gullak ki,
Itne samajhdar ho Gaye ki ab lagta hai sab nautanki

Gullak par Hoti thi itni akad
Mano itne me hi jivan ban jaega sawar
Nahi aana tha us duniyan se bahar
Nahi Janna tha paison se bhara Jeevan me antar

badi maasum si duniyan thi gullak ki,
Itne samajhdar ho Gaye ki ab lagta hai sab nautanki

Jane Kyun aa gayi hum me itni samajhdari,
Hamesha bharni Hoti h koi badi tijori,
Din raat ek kar k bhi h Rona,
Usse laakh Guna achcha tha Kam bhare gullak ka ek Chota sa kona

badi maasum si duniyan thi gullak ki,
Itne samajhdar ho Gaye ki ab lagta hai sab nautanki



Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Hissedaari...

Ayodhya ka Ram apne ghar aaya hai..

The Good man Died