Chalte Chalte

In the vast tapestry of life, we often find ourselves chasing after accomplishments and milestones, hoping they will bring us lasting happiness and contentment. However, there are times when we achieve our goals, only to discover that the joy we anticipated is fleeting. We soon find ourselves yearning for the next pursuit, trapped in an endless cycle of ambition. This blog is for this feeling of achievement and still another achievement, seems to be an endless affair... Please do let me know if you too feel the same..



Chalte chalte zindagi k kaise mukaam par aa gayi hun, 

Shayad kisi gehri soch se gehra gayi hun, 

Na khushi hai na koi gum h, 

Ya shayad sab kuch ho k bhi kuch kam h, 


Na safar ka pata na manzil ka h thikana, 

Kya anjaan raah par yunhi hi hai chalte jana, 

Shayad kal parso hi manzil mil k gayi thi, 

Par zindagi hans padi, Tu kya aaj bhi wahin khadi thi, 

Mukaam dar mukaam aate jate rahenge, 

Use manzil kah k hum bhi muskurate rahenge, 


kabhi lagta hai manzil mile na mile kya koi fark padta hai, 

Shayad wahi kabhi kabhi muskurane ki wajah h, 

Muskurahat aur khushi us safar ki hai chashni, 

Swad ruk ruk k lete rehna, isme na reh jaye kami.. 


Chalte chalte zindagi k kaise mukaam par aa gayi hun, 

Shayad kisi gehri soch se gehra gayi hun, 

Na khushi hai na koi gum h, 

Ya shayad sab kuch ho k bhi kuch kam h... 



Comments

Popular posts from this blog

Tere maasum se chehre me meri duniyan basti hai

Ayodhya ka Ram apne ghar aaya hai..